Tafseel Btanay ka Man Nai Bus Itna Sunty Jao
Tmhari Yaad Mai Dil Bechain Bohat Aj Hai
Itni Bedardi Se Dil Ko Mere Voh Tod Degi
Yeh Maloom Na Tha Mujhe Akela Voh Chhor Degi
Aey Mere Masoom Dil Tu Tanhai Se Pyar Kar Le
Bewafa Bhi Ab Wafa Ka Saath Chhor Degi
Iss Qadr Naa Har Baat, Yaaron Se Puucho,
Jo Baat Raaz Ki Ho, iSharoon Se Puucho ..
Lehroon Se Khelna To, Samandar Ka Shauk Hai,
Lagti Hai Chot Kaise, Ye Kinaroon Se Puucho..
Dua kerte hain hum KHUDA se
Aye KHUDA humara pyar apni manzil paye
Uski rahon me andhera aaye
To roshni ke liye hamein jalaye
Aapki judai ne hamein shayari sikha di,
Judai ke gam ne hamein manzil bhula di,
Chahte to nehin thaey aapse juda hona para
Kya karein agar hamein apno ne hi peeth dikha di….
Itne Bure Nahi Hai Hum,Jitna Samaj Liya Hai,
Yunhi Rulana Tha Agar,Kyun Dil Hame Diya Hai,
Na Çhahte hue ßhi aa jata hai labo pe tera naam
Kabhi teri Taarif mai Toh kabhi teri Shikayat Mein
Wafa Ka Naam Na Liya Karoo
Wafa Dil Ko Dokhati Hai
Wafa Ka Naam Laytay Hee
Ek Bewafa Ki Yaad Ati Hai
Zoo Ke ander english medium school ke bacche
Oh Wow Look a monkey is sleeping Lets not disturb him
Hindi medium School ke bacche DEKH TERA BAAP SO RAHA HAI PATTHAR MAAR SAALE KO
Uske Hoonton Par Mera Naam Jab Aaya Hoga;
Khud Ko Rusvaayi Se Phir Kaise Bachaaya Hoga;
Sun Ke Auron Se Fasaanaa Meri Barbaadi Ka;
Kya Usko Apna Sitam Yaad Na Aaya Hoga
Koi Ye Kaise Bataye Ke Wo Tanha Kyon Hai,
Wo Jo Apna Tha Wohi Aur Kisi Ka Kyon Hai,
Yehi Duniya Hai To Phir Aisi Ye Duniya Kyon Hai,
Yehi Hota Hai To Aakhir Yehi Hota Kyon Hai...
Patthar Ka Dil Kabhi Toota Nahin Karta
Dilon Ka Rishta Kabhi Chuta Nahin Karta
Woh Hame Patthar Dil Samajhte Hai Par Unhe Kya Pata
Patthar Pe Likha Naam Kabhi Mita Nahin Karta
Hamare bato pe woh muskuraya karti thi
hamare pas aane par woh nazare churaya karti thi
hum samjh nahi paye us bewfa ki chal ko
ki woh hume apne husn ke jaal mein fasaya kari thi
Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain
Pehle dil phir zindagi say jur jatay hain
Kehtay hain us daur ko pyaar
Jisme log zindagi say bhi pyare ho jatay hain
Suna Hai Pyaar Ke Kissey Ajib Hote Hain,
Khushi Ke Badle Gam Naseeb Hote Hain,
Mere Dost Mohabbat Na Karna Kabhi,
Pyaar Karnewale Bade Badnaseeb Hote Hai…
Aaj bhigi hai palke kisi ki yaad me
aakash bhi simat gaya hai apne aap me
oas ki boonde aisi giri hai jameen per
maano chand bhi roya ho unki yaad me
Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,
Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh Gaye,
Kya Batayein Kis Kadar Dil Toota Hai Mera,
Maut Se Pehle, Kafan Aud Ker Sona Seekh Gaye..
Maut mangte he to zindagi khfa ho jati hai
Zaher lete he to wo bhi dawa ho jati hai
Tu hi bata aye dost kya karun.
jisko b chahte he to wo bewafa ho jati hai!
Kisi ek se karo pyaar itna Ke kisi aur se pyaar karne ki gunjaish na rahe
Woh muskurade aap ko dekh kar ek bar Toh zinadgi se phir koi khwahish na rahe
Kabhi aansu kabhi khushi dekhi
Humne akshar majburi or bekasi dekhi
Unki naarazgi ko hum kya samjhe
Humne khud apni taqdeer ki bebasi dekhi